mat bura usko kaho garche wo achchha bhi nahin
mat burā us ko kaho garche vo achchhā bhī nahīñ
vo na hotā to ġhazal maiñ kabhī kahtā bhī nahīñ
jāntā thā ki sitamgar hai magar kyā kiije
dil lagāne ke liye aur koī thā bhī nahīñ
jaisā be-dard ho vo phir bhī ye jaisā mahbūb
aisā koī na huā aur koī hogā bhī nahīñ
vahī hogā jo huā hai jo huā kartā hai
maiñ ne is pyaar kā anjām to sochā bhī nahīñ
haa.e kyā dil hai ki lene ke liye jaatā hai
us se paimān-e-vafā jis pe bharosā bhī nahīñ
bārhā guftugū hotī rahī lekin mirā naam
us ne pūchhā bhī nahīñ maiñ ne batāyā bhī nahīñ
tohfa zaḳhmoñ kā mujhe bhej diyā kartā hai
mujh se nārāz hai lekin mujhe bhūlā bhī nahīñ
dostī us se nibah jaa.e bahut mushkil hai
merā to va.ada hai us kā to irāda bhī nahīñ
mere ash.ār vo sun sun ke maze letā rahā
maiñ usī se huuñ muḳhātib vo ye samjhā bhī nahīñ
mere vo dost mujhe dād-e-suḳhan kyā deñge
jin ke dil kā koī hissa zarā TuuTā bhī nahīñ
mujh ko banñā paḌā shā.ir ki maiñ adnā ġham-e-dil
zabt bhī kar na sakā phuuT ke royā bhī nahīñ
shā.irī jaisī ho 'ājiz' kī bhalī ho ki burī
aadmī achchhā hai lekin bahut achchhā bhī nahīñ
mat bura us ko kaho garche wo achchha bhi nahin
wo na hota to ghazal main kabhi kahta bhi nahin
jaanta tha ki sitamgar hai magar kya kije
dil lagane ke liye aur koi tha bhi nahin
jaisa be-dard ho wo phir bhi ye jaisa mahbub
aisa koi na hua aur koi hoga bhi nahin
wahi hoga jo hua hai jo hua karta hai
main ne is pyar ka anjam to socha bhi nahin
hae kya dil hai ki lene ke liye jata hai
us se paiman-e-wafa jis pe bharosa bhi nahin
barha guftugu hoti rahi lekin mera nam
us ne puchha bhi nahin main ne bataya bhi nahin
tohfa zaKHmon ka mujhe bhej diya karta hai
mujh se naraaz hai lekin mujhe bhula bhi nahin
dosti us se nibah jae bahut mushkil hai
mera to wada hai us ka to irada bhi nahin
mere ashaar wo sun sun ke maze leta raha
main usi se hun muKHatib wo ye samjha bhi nahin
mere wo dost mujhe dad-e-suKHan kya denge
jin ke dil ka koi hissa zara TuTa bhi nahin
mujh ko banna paDa shair ki main adna gham-e-dil
zabt bhi kar na saka phuT ke roya bhi nahin
shairi jaisi ho 'ajiz' ki bhali ho ki buri
aadmi achchha hai lekin bahut achchha bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.