mat fikr-e-mudawa kar ai dast-e-masihai
mat fikr-e-mudāvā kar ai dast-e-masīhā.ī
dariyāoñ se gahrī hai is zaḳhm kī gahrā.ī
ik manzil-e-hijrat meñ jab yaad tirī aa.ī
rangoñ ko churā laa.ī ḳhushbū ko uḌā laa.ī
har chehra parāyā hai har aañkh meñ nafrat hai
jā.egī kahāñ le kar ai sharm-e-shanāsā.ī
ye kaisā saverā thā kis dard kā sūraj thā
har raushnī zulmat kī dahlīz pe le aa.ī
jab hijr muqaddar hai milne hī nahīñ degā
sūraj kī to yaktā.ī meñ chāñd kī tanhā.ī
ab tum ko bhī honā hai ojhal mirī nazroñ se
detī hai sadā mujh ko vo manzil-e-rusvā.ī
mat fikr-e-mudawa kar ai dast-e-masihai
dariyaon se gahri hai is zaKHm ki gahrai
ek manzil-e-hijrat mein jab yaad teri aai
rangon ko chura lai KHushbu ko uDa lai
har chehra paraya hai har aankh mein nafrat hai
jaegi kahan le kar ai sharm-e-shanasai
ye kaisa sawera tha kis dard ka suraj tha
har raushni zulmat ki dahliz pe le aai
jab hijr muqaddar hai milne hi nahin dega
suraj ki to yaktai mein chand ki tanhai
ab tum ko bhi hona hai ojhal meri nazron se
deti hai sada mujh ko wo manzil-e-ruswai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.