mat jaaniye paikar mein bas naz-o-ada ka
mat jāniye paikār meñ bas nāz-o-adā kā
aurat meñ hai dam ma.arka-e-jaur-o-jafā kā
manzil pe pahuñch sakte nahīñ aise musāfir
har gaam pe ho ḳhauf jinheñ ābla-pā kā
har dard kā darmāñ hai sharāb-e-ġham-e-ulfat
ik ghūñT meñ ham piite haiñ ik jaam shifā kā
maiñ sun ke jise lauT ga.ī beach safar se
mānūs sadā thī ki vo dhokā thā sadā kā
benām-o-nishāñ barg sī āvāra-e-manzil
kuchh mujh pe karam shāḳh kā kuchh zor havā kā
sahrā-e-mohabbat hai sarāboñ kā tasalsul
hāsil hai faqat tishnagī 'resham' kī vafā kā
mat jaaniye paikar mein bas naz-o-ada ka
aurat mein hai dam marka-e-jaur-o-jafa ka
manzil pe pahunch sakte nahin aise musafir
har gam pe ho KHauf jinhen aabla-pa ka
har dard ka darman hai sharab-e-gham-e-ulfat
ek ghunT mein hum pite hain ek jam shifa ka
main sun ke jise lauT gai beach safar se
manus sada thi ki wo dhoka tha sada ka
benam-o-nishan barg si aawara-e-manzil
kuchh mujh pe karam shaKH ka kuchh zor hawa ka
sahra-e-mohabbat hai sarabon ka tasalsul
hasil hai faqat tishnagi 'resham' ki wafa ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.