mat puchh masiha ki main kya DhunD rahi hun
mat pūchh masīhā ki maiñ kyā DhūñD rahī huuñ
ik dard-e-musalsal kī davā DhūñD rahī huuñ
be-sāḳhta jo khol de is dil ke darīche
mānūs sī vo ek sadā DhūñD rahī huuñ
so.e hue dil ke jo ehsās jagā de
iqbāl kā vo bāñg-e-darā DhūñD rahī huuñ
ai jān-e-tamannā tire dāman se lipaT kar
bahte hue ashkoñ kā sila DhūñD rahī huuñ
kaT jaa.eñ kisī taur ġham-e-hijr kī rāteñ
furqat hai magar vasl tirā DhūñD rahī huuñ
nikle na koī nuur charāġhoñ ke badan se
maiñ tez havāoñ kī ridā DhūñD rahī huuñ
mat puchh masiha ki main kya DhunD rahi hun
ek dard-e-musalsal ki dawa DhunD rahi hun
be-saKHta jo khol de is dil ke dariche
manus si wo ek sada DhunD rahi hun
soe hue dil ke jo ehsas jaga de
iqbaal ka wo bang-e-dara DhunD rahi hun
ai jaan-e-tamanna tere daman se lipaT kar
bahte hue ashkon ka sila DhunD rahi hun
kaT jaen kisi taur gham-e-hijr ki raaten
furqat hai magar wasl tera DhunD rahi hun
nikle na koi nur charaghon ke badan se
main tez hawaon ki rida DhunD rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.