mat Takrana patthar ban kar aahan hum ho jaenge
mat Takrānā patthar ban kar aahan ham ho jā.eñge
pyaar se aa kar tum jo miloge gulshan ham ho jā.eñge
raaz chhupānā chāho to ham parde kā bhī kaam kareñ
aur haqīqat chāho to phir darpan ham ho jā.eñge
ham ko dushman mat samjho ham pyaar sikhāte haiñ sab ko
jis meñ bhare hoñ phuul vafā ke dāman ham ho jā.eñge
ḳhushiyoñ meñ rañgīn bahāroñ kā tum ko paiġhām bhī deñ
dukh ke mausam meñ āñkhoñ kā sāvan ham ho jā.eñge
Thukrāyā to kāñTe ban kar rāhoñ meñ bujh sakte haiñ
apnāyā to aap ke ghar kā āñgan ham ho jā.eñge
pyaar kā jaadū sab ke sar par chaḌh kar phir to bolegā
tum banñā kānhā kī murlī madhūban ham ho jā.eñge
apnā dukh-sukh lamha lamha mil-jul kar bāñTeñge 'rāg'
tum ban jaanā aañkh ke aañsū dāman ham ho jā.eñge
mat Takrana patthar ban kar aahan hum ho jaenge
pyar se aa kar tum jo miloge gulshan hum ho jaenge
raaz chhupana chaho to hum parde ka bhi kaam karen
aur haqiqat chaho to phir darpan hum ho jaenge
hum ko dushman mat samjho hum pyar sikhate hain sab ko
jis mein bhare hon phul wafa ke daman hum ho jaenge
KHushiyon mein rangin bahaaron ka tum ko paigham bhi den
dukh ke mausam mein aankhon ka sawan hum ho jaenge
Thukraya to kanTe ban kar rahon mein bujh sakte hain
apnaya to aap ke ghar ka aangan hum ho jaenge
pyar ka jadu sab ke sar par chaDh kar phir to bolega
tum banna kanha ki murli madhuban hum ho jaenge
apna dukh-sukh lamha lamha mil-jul kar banTenge 'rag'
tum ban jaana aankh ke aansu daman hum ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.