mata-e-abru le kar ata se kuchh nahin hota
matā-e-ābrū le kar atā se kuchh nahīñ hotā
bahā ho ḳhūn-e-dil to ḳhūñ-bahā se kuchh nahīñ hotā
mizāj-e-dil bigaḌ jaa.e to phir ai mehrbāñ suniye
jafā se kuchh nahīñ hotā vafā se kuchh nahīñ hotā
sar-e-maqtal tumhāre kārnāme sab ne dekhe haiñ
sar-e-mimbar bahut āh-o-bukā se kuchh nahīñ hotā
zabāñ khul jaa.e to sab bandisheñ be-sūd hotī haiñ
qadam uTh jaa.eñ to zanjīr-e-pā se kuchh nahīñ hotā
mata-e-abru le kar ata se kuchh nahin hota
baha ho KHun-e-dil to KHun-baha se kuchh nahin hota
mizaj-e-dil bigaD jae to phir ai mehrban suniye
jafa se kuchh nahin hota wafa se kuchh nahin hota
sar-e-maqtal tumhaare karname sab ne dekhe hain
sar-e-mimbar bahut aah-o-buka se kuchh nahin hota
zaban khul jae to sab bandishen be-sud hoti hain
qadam uTh jaen to zanjir-e-pa se kuchh nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.