mata-e-dard maal-e-hayat hai shayad
matā-e-dard ma.āl-e-hayāt hai shāyad
dil-e-shikasta mirī kā.enāt hai shāyad
bas ik naqāb thī vo sub.h-e-nau ke chehra par
ham is fareb meñ uljhe ki raat hai shāyad
ḳhirad kī had bhī milī hai junūn par aa kar
junūn qahr-e-ḳhirad se najāt hai shāyad
ye ik ḳhalish ki musalsal satā rahī hai mujhe
ki lab vo kāñpe haiñ kyuuñ koī baat hai shāyad
unheñ gumāñ ki mujhe un se rabt hai 'sālim'
mujhe ye vahm unheñ iltifāt hai shāyad
mata-e-dard maal-e-hayat hai shayad
dil-e-shikasta meri kaenat hai shayad
bas ek naqab thi wo subh-e-nau ke chehra par
hum is fareb mein uljhe ki raat hai shayad
KHirad ki had bhi mili hai junun par aa kar
junun qahr-e-KHirad se najat hai shayad
ye ek KHalish ki musalsal sata rahi hai mujhe
ki lab wo kanpe hain kyun koi baat hai shayad
unhen guman ki mujhe un se rabt hai 'salim'
mujhe ye wahm unhen iltifat hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.