mata-e-hosh kho baiThe mata-e-dil luTa baiThe
matā-e-hosh kho baiThe matā-e-dil luTā baiThe
ham un ke paas aa baiThe ki un se duur jā baiThe
yahāñ bhī zindagī kī dhuup aksar aa hī jaatī hai
tirī zulfoñ ke saa.e meñ koī baiThe to kyā baiThe
vo kaisā dard kis kī justujū kis kī tamanna thī
chaman ko chhoḌ kar ai dil jo vīrāne meñ aa baiThe
unheñ to aur bhī kuchh kaam hoñge zindagānī meñ
hameñ bazm-e-tamannā hī sajānā thī sajā baiThe
mata-e-hosh kho baiThe mata-e-dil luTa baiThe
hum un ke pas aa baiThe ki un se dur ja baiThe
yahan bhi zindagi ki dhup aksar aa hi jati hai
teri zulfon ke sae mein koi baiThe to kya baiThe
wo kaisa dard kis ki justuju kis ki tamanna thi
chaman ko chhoD kar ai dil jo virane mein aa baiThe
unhen to aur bhi kuchh kaam honge zindagani mein
hamein bazm-e-tamanna hi sajaana thi saja baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.