Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mataa-e-husn-o-jamal-o-kamal kya kya kuchh

Syed Salman Gilani

mataa-e-husn-o-jamal-o-kamal kya kya kuchh

Syed Salman Gilani

MORE BYSyed Salman Gilani

    matā.a-e-husn-o-jamāl-o-kamāl kyā kyā kuchh

    churā ke le ga.e ye māh-o-sāl kyā kyā kuchh

    muñh se bole na bole sunā rahe haiñ hameñ

    fasāne shab ke tire ḳhadd-o-ḳhāl kyā kyā kuchh

    mire ḳhudā ne hai baḳhshā mujhe virāsat meñ

    mizāh-o-tanz-o-jamāl-o-jalāl kyā kyā kuchh

    maiñ bach gayā tirī rahmat se varna marqad meñ

    farishte karte na jaane savāl kyā kyā kuchh

    sivā.e usva-e-shabbīr kuchh na kaam aayā

    dhamāl raqs ye vajd aur haal kyā kyā kuchh

    karam hai un na rījhā maiñ phir bhī duniyā par

    thā is meñ mansab-o-māl-o-manāl kyā kyā kuchh

    hañsī ke parde meñ 'salmān' ne chhupā liye haiñ

    musībat-o-ġham-o-huzn-o-malāl kyā kyā kuchh

    mataa-e-husn-o-jamal-o-kamal kya kya kuchh

    chura ke le gae ye mah-o-sal kya kya kuchh

    tu munh se bole na bole suna rahe hain hamein

    fasane shab ke tere KHadd-o-KHal kya kya kuchh

    mere KHuda ne hai baKHsha mujhe wirasat mein

    mizah-o-tanz-o-jamal-o-jalal kya kya kuchh

    main bach gaya teri rahmat se warna marqad mein

    farishte karte na jaane sawal kya kya kuchh

    siwae uswa-e-shabbir kuchh na kaam aaya

    dhamal raqs ye wajd aur haal kya kya kuchh

    karam hai un ka na rijha main phir bhi duniya par

    tha is mein mansab-o-mal-o-manal kya kya kuchh

    hansi ke parde mein 'salman' ne chhupa liye hain

    musibat-o-gham-o-huzn-o-malal kya kya kuchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now