mataa-e-zarf hoti to qad-awar ho gae hote
matā.a-e-zarf hotī to qad-āvar ho ga.e hote
to phir tum bhī mire qad ke barābar ho ga.e hote
zarūrat hī nahīñ thī aap ko marham lagāne kī
tasallī hī agar dete to ghaav bhar ga.e hote
tumheñ uljhā ke rakhā hai tamannāoñ ke daldal ne
agarche nafs se laḌte qalandar ho ga.e hote
agar ye zindagī raushan zamīroñ meñ basar hotī
sitāroñ kī tarah ham bhī munavvar ho ga.e hote
tumheñ bhī she'r kahne kā salīqa aa gayā hotā
hamāre saath rahte to suḳhanvar ho ga.e hote
agar tum haq pe laḌte to ḳhudā imdād kar detā
tumhāre saath abābīloñ ke lashkar ho ga.e hote
zamāna rashk se phir dekhne lagtā 'zaman' mujh ko
agar vo merī chāhat kā muqaddar ho ga.e hote
mataa-e-zarf hoti to qad-awar ho gae hote
to phir tum bhi mere qad ke barabar ho gae hote
zarurat hi nahin thi aap ko marham lagane ki
tasalli hi agar dete to ghaw bhar gae hote
tumhein uljha ke rakha hai tamannaon ke daldal ne
agarche nafs se laDte qalandar ho gae hote
agar ye zindagi raushan zamiron mein basar hoti
sitaron ki tarah hum bhi munawwar ho gae hote
tumhein bhi she'r kahne ka saliqa aa gaya hota
hamare sath rahte to suKHanwar ho gae hote
agar tum haq pe laDte to KHuda imdad kar deta
tumhaare sath ababilon ke lashkar ho gae hote
zamana rashk se phir dekhne lagta 'zaman' mujh ko
agar wo meri chahat ka muqaddar ho gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.