matlab ki tum suno to zara koi kuchh kahe
matlab kī tum suno to zarā koī kuchh kahe
jab be-sune ḳhafā ho to kyā koī kuchh kahe
ham aap chheḌ chheḌ ke khāte haiñ gāliyāñ
kānoñ ko paḌ gayā hai maza koī kuchh kahe
bande haiñ ham to ishq ke ai shaiḳh-o-barhaman
parvā nahīñ hameñ ba-ḳhudā koī kuchh kahe
kam-baḳht nā-murād to muddat se hai ḳhitāb
jī chāhtā hai is se sivā koī kuchh kahe
nāseh kahe sune pe hamārā nahīñ amal
jo jī meñ aa gayā vo kiyā koī kuchh kahe
ai 'dāġh' us kī bazm meñ ham gul khilā.enge
is kā hai intizār zarā koī kuchh kahe
matlab ki tum suno to zara koi kuchh kahe
jab be-sune KHafa ho to kya koi kuchh kahe
hum aap chheD chheD ke khate hain galiyan
kanon ko paD gaya hai maza koi kuchh kahe
bande hain hum to ishq ke ai shaiKH-o-barhaman
parwa nahin hamein ba-KHuda koi kuchh kahe
kam-baKHt na-murad to muddat se hai KHitab
ji chahta hai is se siwa koi kuchh kahe
naseh kahe sune pe hamara nahin amal
jo ji mein aa gaya wo kiya koi kuchh kahe
ai 'dagh' us ki bazm mein hum gul khilaenge
is ka hai intizar zara koi kuchh kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.