mauj-e-dariya ki tarah tum bhi ubalna sikho
mauj-e-dariyā kī tarah tum bhī ubalnā sīkho
baat to jab hai ki ḳhud gir ke sañbhalnā sīkho
kaun mil jaa.e kahāñ raah kā patthar ban kar
shart ye hai ki isī raah pe chalnā sīkho
kyoñ ho ḳhāmosh bhalā jhiil ke paanī kī tarah
misl-e-tūfān zarā tum bhī machalnā sīkho
ho to saktā hai ki har moḌ pe nākāmī ho
azm-o-dānā.ī se hālāt badalnā sīkho
kisī tārīkī kā ehsās na hone paa.e
sham.a kī tarah har ik gaam pe jalnā sīkho
mauj-e-dariya ki tarah tum bhi ubalna sikho
baat to jab hai ki KHud gir ke sanbhalna sikho
kaun mil jae kahan rah ka patthar ban kar
shart ye hai ki isi rah pe chalna sikho
kyon ho KHamosh bhala jhil ke pani ki tarah
misl-e-tufan zara tum bhi machalna sikho
ho to sakta hai ki har moD pe nakaami ho
azm-o-danai se haalat badalna sikho
kisi tariki ka ehsas na hone pae
shama ki tarah har ek gam pe jalna sikho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.