mauj-e-shabnam rag-e-gulab si hai
mauj-e-shabnam rag-e-gulāb sī hai
ḳhuun meñ bah rahī sharāb sī hai
chashm-e-gul-gūñ se chhalke haiñ aañsū
sāġhar-e-gul meñ mai-e-nāb sī hai
shoḳhiyāñ husn se Tapaktī haiñ
har jhalak terī māhtāb sī hai
phuul mahke haiñ terī zulfoñ ke
aaj ḳhushbū hasīñ gulāb sī hai
mauj-e-shabnam rag-e-gulab si hai
KHun mein bah rahi sharab si hai
chashm-e-gul-gun se chhalke hain aansu
saghar-e-gul mein mai-e-nab si hai
shoKHiyan husn se Tapakti hain
har jhalak teri mahtab si hai
phul mahke hain teri zulfon ke
aaj KHushbu hasin gulab si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.