mauj ubhri aa gai sahil ke hath
mauj ubhrī aa ga.ī sāhil ke haath
maiñ chalā aur jā lagā manzil ke haath
ik taḌap jo aa ga.ī bismil ke haath
kyoñ na chūme baḌh ke vo bismil ke haath
dar-haqīqat maut kā paiġhām hai
nā-ḳhudā.ī aur nā-qābil ke haath
haath chhoTe paḌ ga.e insāf ke
itne lambe the mire qātil ke haath
ghoñT diije qābiliyyat kā galā
kījiye mazbūt nā-qābil ke haath
naqsh maiñ ne kar diye naqsh-e-qadam
ek daulat aa ga.ī manzil ke haath
is tarah phaile rahe fitna fasād
jis tarah phaile raheñ saa.il ke haath
kyā batā.ūñ kaisī durgat ban ga.ī
dil kī mere haath merī dil ke haath
'sāz' āsānī mire haath aa ga.ī
aa gayā jis vaqt meñ mushkil ke haath
mauj ubhri aa gai sahil ke hath
main chala aur ja laga manzil ke hath
ek taDap jo aa gai bismil ke hath
kyon na chume baDh ke wo bismil ke hath
dar-haqiqat maut ka paigham hai
na-KHudai aur na-qabil ke hath
hath chhoTe paD gae insaf ke
itne lambe the mere qatil ke hath
ghonT dije qabiliyyat ka gala
kijiye mazbut na-qabil ke hath
naqsh main ne kar diye naqsh-e-qadam
ek daulat aa gai manzil ke hath
is tarah phaile rahe fitna fasad
jis tarah phaile rahen sail ke hath
kya bataun kaisi durgat ban gai
dil ki mere hath meri dil ke hath
'saz' aasani mere hath aa gai
aa gaya jis waqt mein mushkil ke hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.