maujon mein talatum hai sahil pe bhi tufan hai
maujoñ meñ talātum hai sāhil pe bhī tūfāñ hai
ab apne safīne kā allāh nigahbāñ hai
har chand muhīt-e-dil tārīkī-e-hijrāñ hai
sho.ala tirī yādoñ kā siine meñ farozāñ hai
dekhā hī nahīñ tum ne kyā rang-e-bahārāñ hai
surḳhī hai jo phūloñ par vo ḳhūn-e-shahīdāñ hai
taḳhrīb ke parde meñ ta.amīr bhī pinhāñ hai
tārīk fazāoñ meñ ik sham.a farozāñ hai
kyā ġham jo añdherā hai duniyā kī fazāoñ meñ
jo dāġh-e-tamannā hai ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ hai
khulte nahīñ lab mere ehsās-e-hamiyyat se
martā huuñ ki hāl-e-dil chehre se numāyāñ hai
ḳhvāboñ ke darīchoñ se jhāñkā hai bahāroñ ne
ab dāman-e-sahrā bhī dāmān-e-gulistāñ hai
mumkin hai sabā ḳhushbū sahrā meñ uḌā laa.e
har-chand ghaTāoñ kā ruḳh sū-e-gulistāñ hai
kyā ḳhauf tujhe āḳhir ai rāh-rav-e-hastī
kahte haiñ ajal jis ko hastī kī nigahbāñ hai
chhā.egī ḳhushī ik din ġham-ḳhāna-e-hastī par
ġham to mirī duniyā meñ kuchh der kā mehmāñ hai
ab aap kī marzī hai jo chāheñ hameñ samjheñ
dil aap kā shaidā hai dil aap pe nāzāñ hai
tasvīr tirī ab tak phirtī hai nigāhoñ meñ
har yaad tirī ab tak nazdīk-e-rag-e-jāñ hai
uTh kar tire kūche se ab jaa.e kahāñ 'azmat'
duniyā bhī bayābāñ hai uqbā bhī bayābāñ hai
maujon mein talatum hai sahil pe bhi tufan hai
ab apne safine ka allah nigahban hai
har chand muhit-e-dil tariki-e-hijran hai
shoala teri yaadon ka sine mein farozan hai
dekha hi nahin tum ne kya rang-e-bahaaran hai
surKHi hai jo phulon par wo KHun-e-shahidan hai
taKHrib ke parde mein tamir bhi pinhan hai
tarik fazaon mein ek shama farozan hai
kya gham jo andhera hai duniya ki fazaon mein
jo dagh-e-tamanna hai KHurshid-e-daraKHshan hai
khulte nahin lab mere ehsas-e-hamiyyat se
marta hun ki haal-e-dil chehre se numayan hai
KHwabon ke darichon se jhanka hai bahaaron ne
ab daman-e-sahra bhi daman-e-gulistan hai
mumkin hai saba KHushbu sahra mein uDa lae
har-chand ghaTaon ka ruKH su-e-gulistan hai
kya KHauf tujhe aaKHir ai rah-raw-e-hasti
kahte hain ajal jis ko hasti ki nigahban hai
chhaegi KHushi ek din gham-KHana-e-hasti par
gham to meri duniya mein kuchh der ka mehman hai
ab aap ki marzi hai jo chahen hamein samjhen
dil aap ka shaida hai dil aap pe nazan hai
taswir teri ab tak phirti hai nigahon mein
har yaad teri ab tak nazdik-e-rag-e-jaan hai
uTh kar tere kuche se ab jae kahan 'azmat'
duniya bhi bayaban hai uqba bhi bayaban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.