maujud jo tha madum samajh mein aaya
maujūd jo thā mādūm samajh meñ aayā
ik ulTā hī mafhūm samajh meñ aayā
maiñ jab peḌ se gir ke zamīñ kī ḳhaak huā
tab ik ālam-e-mauhūm samajh meñ aayā
maiñ hī maiñ huuñ aañkh uThtī hai jidhar bhī ab
nā-mālūm bhī mālūm samajh meñ aayā
ulTe mantar hī shāyad maiñ paḌhtā huuñ
jo zāhir thā mādūm samajh meñ aayā
ziist ko maiñ ik āb-e-ravāñ kahtā huuñ 'tūr'
kyā tum ko ye mafhūm samajh meñ aayā
maujud jo tha madum samajh mein aaya
ek ulTa hi mafhum samajh mein aaya
main jab peD se gir ke zamin ki KHak hua
tab ek aalam-e-mauhum samajh mein aaya
main hi main hun aankh uThti hai jidhar bhi ab
na-malum bhi malum samajh mein aaya
ulTe mantar hi shayad main paDhta hun
jo zahir tha madum samajh mein aaya
zist ko main ek aab-e-rawan kahta hun 'tur'
kya tum ko ye mafhum samajh mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.