mausam-e-gul hai naqab-e-husn uTh jaane ka nam
mausam-e-gul hai naqāb-e-husn uTh jaane kā naam
hai nashāt-e-jān-o-dil us daur ke aane kā naam
tañg zehnoñ meñ hai mātam gardish-e-ayyām kā
mahfil-e-hastī ko de rakkhā hai ġham-ḳhāne kā naam
jab kabhī chhiḌtā hai zikr-e-rasm-o-rāh-e-āshiqī
log lete haiñ adab se tere dīvāne kā naam
un kī yaad un kā tasavvur un kā ġham un kī ḳhushī
zindagī hai merī bas un meñ hī kho jaane kā naam
maiñ agar nākām huuñ nākām rahne dījiye
kyā paḌī hai aap ko leñ rahm farmāne kā naam
har burā.ī maslahat ke naam se hai ab ridā
de chuke haiñ log maqtal ko sanam-ḳhāne kā naam
is mohabbat meñ haiñ 'anjum' saiñkaḌoñ dushvāriyāñ
soch kar lene kisī zālim ko apnāne kā naam
mausam-e-gul hai naqab-e-husn uTh jaane ka nam
hai nashat-e-jaan-o-dil us daur ke aane ka nam
tang zehnon mein hai matam gardish-e-ayyam ka
mahfil-e-hasti ko de rakkha hai gham-KHane ka nam
jab kabhi chhiDta hai zikr-e-rasm-o-rah-e-ashiqi
log lete hain adab se tere diwane ka nam
un ki yaad un ka tasawwur un ka gham un ki KHushi
zindagi hai meri bas un mein hi kho jaane ka nam
main agar nakaam hun nakaam rahne dijiye
kya paDi hai aap ko len rahm farmane ka nam
har burai maslahat ke nam se hai ab rida
de chuke hain log maqtal ko sanam-KHane ka nam
is mohabbat mein hain 'anjum' sainkaDon dushwariyan
soch kar lene kisi zalim ko apnane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.