mausam-e-gul phir aane laga hai
mausam-e-gul phir aane lagā hai
phir vahī ġham satāne lagā hai
aañkh kī ye namī kah rahī hai
yaad phir koī aane lagā hai
dekh kar us ke hāthoñ meñ patthar
aa.ina muskurāne lagā hai
ab sarāpā ġhazal ban ga.e vo
har koī gungunāne lagā hai
puurī kar dī kasar āshiqī ne
jā ke dil ab Thikāne lagā hai
aao 'jāved' ham bhī chaleñ ab
bazm se vo bhī jaane lagā hai
mausam-e-gul phir aane laga hai
phir wahi gham satane laga hai
aankh ki ye nami kah rahi hai
yaad phir koi aane laga hai
dekh kar us ke hathon mein patthar
aaina muskurane laga hai
ab sarapa ghazal ban gae wo
har koi gungunane laga hai
puri kar di kasar aashiqi ne
ja ke dil ab Thikane laga hai
aao 'jawed' hum bhi chalen ab
bazm se wo bhi jaane laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.