mausam-e-hijr mein zaKHmon se lada rahta hai
mausam-e-hijr meñ zaḳhmoñ se ladā rahtā hai
dil vo paudhā ke jo patjhaḌ meñ harā rahtā hai
bas ye ik baat mujhe laatī hai nazdīk tire
tū bhī to merī tarah ḳhud se ḳhafā rahtā hai
tabsira itnā hī kaafī hai mohabbat ke liye
muḳhtasar saude meñ nuqsān baḌā rahtā hai
ham se behtar hai muqaddar meñ siyāh patthar jo
ban ke surmā tirī palkoñ se lagā rahtā hai
kyā qasīda tire ruḳhsār ke til kā yuuñ samajh
ik nagīna hai añgūThī meñ jaḌā rahtā hai
dar-o-dīvār sisakte hai kamī par terī
ghar meñ ḳhāmoshī kā ik shor bapā rahtā hai
us kī āñkheñ hai yā ābād kueñ hai 'āfī'
āb-e-ġham jin meñ musalsal hī bharā rahtā hai
mausam-e-hijr mein zaKHmon se lada rahta hai
dil wo paudha ke jo patjhaD mein hara rahta hai
bas ye ek baat mujhe lati hai nazdik tere
tu bhi to meri tarah KHud se KHafa rahta hai
tabsira itna hi kafi hai mohabbat ke liye
muKHtasar saude mein nuqsan baDa rahta hai
hum se behtar hai muqaddar mein siyah patthar jo
ban ke surma teri palkon se laga rahta hai
kya qasida tere ruKHsar ke til ka yun samajh
ek nagina hai anguThi mein jaDa rahta hai
dar-o-diwar sisakte hai kami par teri
ghar mein KHamoshi ka ek shor bapa rahta hai
us ki aankhen hai ya aabaad kuen hai 'afi'
aab-e-gham jin mein musalsal hi bhara rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.