mausam hara-bhara hai ye manzar bhi dekh le
mausam harā-bharā hai ye manzar bhī dekh le
kuchh der tāzgī meñ sañvar kar bhī dekh le
sach baat kahne ke liye apnī zabāñ to khol
phir kis taraf se aate haiñ patthar bhī dekh le
maanā ki tishnagī kisī sahrā kī den hai
faiyyaz kis qadar hai samundar bhī dekh le
tū ne balā kī dhuup meñ kaaTī tamām umr
ab sard shab kī oḌh ke chādar bhī dekh le
duniyā ko tū ne dekhā hai khiḌkī se jhāñk kar
ik roz apne ghar se nikal kar bhī dekh le
kāñToñ kā taaj sar pe liye kyoñ salīb par
hai āzmā.ishoñ meñ payambar bhī dekh le
nām-e-'sabā' hathelī pe apnī kabhī sajā
taaki zamāna us kā muqaddar bhī dekh le
mausam hara-bhara hai ye manzar bhi dekh le
kuchh der tazgi mein sanwar kar bhi dekh le
sach baat kahne ke liye apni zaban to khol
phir kis taraf se aate hain patthar bhi dekh le
mana ki tishnagi kisi sahra ki den hai
faiyyaz kis qadar hai samundar bhi dekh le
tu ne bala ki dhup mein kaTi tamam umr
ab sard shab ki oDh ke chadar bhi dekh le
duniya ko tu ne dekha hai khiDki se jhank kar
ek roz apne ghar se nikal kar bhi dekh le
kanTon ka taj sar pe liye kyon salib par
hai aazmaishon mein payambar bhi dekh le
nam-e-'saba' hatheli pe apni kabhi saja
taki zamana us ka muqaddar bhi dekh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.