mausam sard hawaon ka
mausam sard havāoñ kā
mere ghar se niklā thā
chup taarī thī duniyā par
ek faqat maiñ royā thā
vo jo dil meñ tūfāñ thā
qatra qatra barsā thā
dukh ke taaq pe shaam Dhale
kis ne diyā jalāyā thā
ab ke mausam barkhā kā
burqa pahan ke niklā thā
sāThvīñ saal ke aane par
pahlī baar maiñ hañsā thā
aag lagī thī dariyā meñ
lekin sāhil chup sā thā
mausam sard hawaon ka
mere ghar se nikla tha
chup tari thi duniya par
ek faqat main roya tha
wo jo dil mein tufan tha
qatra qatra barsa tha
dukh ke taq pe sham Dhale
kis ne diya jalaya tha
ab ke mausam barkha ka
burqa pahan ke nikla tha
saThwin sal ke aane par
pahli bar main hansa tha
aag lagi thi dariya mein
lekin sahil chup sa tha
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 192)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.