kisi ke chhuT jaane ka use kyon gham nahin hota
kisi ke chhuT jaane ka use kyon gham nahin hota
Abdul Mannan Samadi
MORE BYAbdul Mannan Samadi
kisī ke chhūT jaane kā use kyoñ ġham nahīñ hotā
tirā dil hai ki patthar hai kabhī jo nam nahīñ hotā
parinde gungunāte haiñ tumhāre shahr meñ lekin
hamāre shahr kā aisā kabhī mausam nahīñ hotā
ba-zāhir jugnuoñ kī raushnī se ghar to raushan hai
magar phir bhī mire ghar kā añdherā kam nahīñ hotā
ḳhudā se gar tujhe māñgā nahīñ hotā du'āoñ meñ
tujhe khone kā phir ham ko zarā bhī ġham nahīñ hotā
nigāhoñ ne hamārī ek manzar vo bhī dekhā hai
jahāñ apnoñ ke marne kā koī mātam nahīñ hotā
kisi ke chhuT jaane ka use kyon gham nahin hota
tera dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota
parinde gungunate hain tumhaare shahr mein lekin
hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota
ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai
magar phir bhi mere ghar ka andhera kam nahin hota
KHuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon mein
tujhe khone ka phir hum ko zara bhi gham nahin hota
nigahon ne hamari ek manzar wo bhi dekha hai
jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.