warna kya aab-o-hawa chiz hai kaisa mausam
varna kyā āb-o-havā chiiz hai kaisā mausam
tere aane se huā shahr meñ achchhā mausam
ye mah-o-mehr izāfī haiñ tire sar kī qasam
vaqt batlātī haiñ āñkheñ tirī chehrā mausam
dhuup meñ chhāñv kahīñ mauj meñ tūfān kahīñ
jaisā ai dost tirā muuD hai vaisā mausam
rañg-o-bū rakhte haiñ sab phuul phal apnī apnī
chashm-o-abrū se alag āriz-o-lab kā mausam
is qadar husn achānak mirā dil toḌ na de
ek to pyārā hai tū is pe ye pyārā mausam
na vabā ke koī din raat na tanhā.ī ke saal
tere aate hī badal jaatā hai saarā mausam
warna kya aab-o-hawa chiz hai kaisa mausam
tere aane se hua shahr mein achchha mausam
ye mah-o-mehr izafi hain tere sar ki qasam
waqt batlati hain aankhen teri chehra mausam
dhup mein chhanw kahin mauj mein tufan kahin
jaisa ai dost tera muD hai waisa mausam
rang-o-bu rakhte hain sab phul phal apni apni
chashm-o-abru se alag aariz-o-lab ka mausam
is qadar husn achanak mera dil toD na de
ek to pyara hai tu is pe ye pyara mausam
na waba ke koi din raat na tanhai ke sal
tere aate hi badal jata hai sara mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.