mausam sukhe peD girane wala tha
mausam sūkhe peḌ girāne vaalā thā
kisī kisī meñ phuul bhī aane vaalā thā
paar ke manzar ne mauqe par āñkheñ diiñ
maiñ andhā dīvār uThāne vaalā thā
us ne bhī āñkhoñ meñ aañsū rok liye
maiñ bhī apne zaḳhm chhupāne vaalā thā
tum ne kyuuñ bārūd bichhā dī dhartī par
maiñ to duā kā shahr basāne vaalā thā
vo laḌkī to kab kī mar ga.ī yaad aayā
maiñ kis ko āvāz lagāne vaalā thā
ghar ke charāġh ne aag lagā dī bastī meñ
maiñ sūraj dahlīz pe laane vaalā thā
merī duniyā kaise us ko raas aatī hai
us kā har andāz zamāne vaalā thā
bachche 'ashk' ko pāgal kah kar bhaag ga.e
vo pariyoñ kī kathā sunāne vaalā thā
mausam sukhe peD girane wala tha
kisi kisi mein phul bhi aane wala tha
par ke manzar ne mauqe par aankhen din
main andha diwar uThane wala tha
us ne bhi aankhon mein aansu rok liye
main bhi apne zaKHm chhupane wala tha
tum ne kyun barud bichha di dharti par
main to dua ka shahr basane wala tha
wo laDki to kab ki mar gai yaad aaya
main kis ko aawaz lagane wala tha
ghar ke charagh ne aag laga di basti mein
main suraj dahliz pe lane wala tha
meri duniya kaise us ko ras aati hai
us ka har andaz zamane wala tha
bachche 'ashk' ko pagal kah kar bhag gae
wo pariyon ki katha sunane wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.