Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut aae ghar se dur bhi gar na-gahan mujhe

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

maut aae ghar se dur bhi gar na-gahan mujhe

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    maut aa.e ghar se duur bhī gar nā-gahāñ mujhe

    miTTī tirī nasīb ho hindostāñ mujhe

    nāqūs se hai aatī sadā-e-azāñ mujhe

    kahne do jo bhī kahte haiñ ahl-e-jahāñ mujhe

    manzil aarzū hai na ab us justujū

    chhoḌā junūn-e-shauq ne kar kahāñ mujhe

    ye dil dhaḌkaneñ haiñ ki parde meñ roz-o-shab

    koī sunā rahā hai mirī dāstāñ mujhe

    ai dil hazār baar tirā imtihāñ liyā

    le lene de ab apnā zarā imtihāñ mujhe

    ye bhī 'nazar' adā-e-fareb-e-vafā na ho

    vo aaj aa rahe haiñ 'nazar' mehrbāñ mujhe

    maut aae ghar se dur bhi gar na-gahan mujhe

    miTTi teri nasib ho hindostan mujhe

    naqus se hai aati sada-e-azan mujhe

    kahne do jo bhi kahte hain ahl-e-jahan mujhe

    manzil ki aarzu hai na ab us ki justuju

    chhoDa junun-e-shauq ne la kar kahan mujhe

    ye dil ki dhaDkanen hain ki parde mein roz-o-shab

    koi suna raha hai meri dastan mujhe

    ai dil hazar bar tera imtihan liya

    le lene de ab apna zara imtihan mujhe

    ye bhi 'nazar' ada-e-fareb-e-wafa na ho

    wo aaj aa rahe hain 'nazar' mehrban mujhe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now