maut aai kitni bar nai zindagi hui
maut aa.ī kitnī baar na.ī zindagī huī
niklī magar na phāñs jigar meñ chhupī huī
ab ho bhī koī mā.il-e-lutf-o-karam to kyā
hotī nahīñ shagufta tabī.at bujhī huī
mausam yahī bahār kā hai ishq ke liye
aatī nahīñ palaT ke javānī ga.ī huī
kuchh zahr kā nasha hai to kuchh thartharī sī hai
rag rag meñ aaj hai koī shai pairtī huī
āb-e-hayāt bhī koī chhiḌke agar to kyā
bujhtī nahīñ hai aag jigar meñ lagī huī
aa.ī hai saañs dūsrī nashtar liye hue
ik saañs meñ hameñ jo masarrat kabhī huī
har roz ek dard nayā dil meñ hai 'jigar'
har raat sochte haiñ ki had dard kī huī
sahrā meñ chal ke ġham ko bhulā do uTho 'jigar'
dekho vo aa rahī hai ghaTā jhūmtī huī
maut aai kitni bar nai zindagi hui
nikli magar na phans jigar mein chhupi hui
ab ho bhi koi mail-e-lutf-o-karam to kya
hoti nahin shagufta tabiat bujhi hui
mausam yahi bahaar ka hai ishq ke liye
aati nahin palaT ke jawani gai hui
kuchh zahr ka nasha hai to kuchh tharthari si hai
rag rag mein aaj hai koi shai pairti hui
aab-e-hayat bhi koi chhiDke agar to kya
bujhti nahin hai aag jigar mein lagi hui
aai hai sans dusri nashtar liye hue
ek sans mein hamein jo masarrat kabhi hui
har roz ek dard naya dil mein hai 'jigar'
har raat sochte hain ki had dard ki hui
sahra mein chal ke gham ko bhula do uTho 'jigar'
dekho wo aa rahi hai ghaTa jhumti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.