maut bhi meri dastaras mein nahin
maut bhī merī dastaras meñ nahīñ
aur jiinā bhī apne bas meñ nahīñ
aag bhaḌke to kis tarah bhaḌke
ik sharar bhī to ḳhār-o-ḳhas meñ nahīñ
qatl-o-ġhārat khulī fazā kā nasīb
aisā ḳhatra koī qafas meñ nahīñ
kyā sune koī dāstān-e-vafā
farq ab ishq aur havas meñ nahīñ
zulm ke sāmne ho sīna-sipar
hausla itnā ham-nafas meñ nahīñ
'josh' vo jo kaheñ karo taslīm
fā.eda kuchh bhī pesh-o-pas meñ nahīñ
maut bhi meri dastaras mein nahin
aur jina bhi apne bas mein nahin
aag bhaDke to kis tarah bhaDke
ek sharar bhi to KHar-o-KHas mein nahin
qatl-o-ghaarat khuli faza ka nasib
aisa KHatra koi qafas mein nahin
kya sune koi dastan-e-wafa
farq ab ishq aur hawas mein nahin
zulm ke samne ho sina-sipar
hausla itna ham-nafas mein nahin
'josh' wo jo kahen karo taslim
faeda kuchh bhi pesh-o-pas mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.