maut har lamha intizar mein hai
maut har lamha intizār meñ hai
zindagī aaj bhī udhār meñ hai
saarī duniyā se dushmanī le lī
kitnī jur.at hamāre pyaar meñ hai
shāḳh-dar-shāḳh ek udāsī sī
aur ye zulm bhī bahār meñ hai
rahbaroñ ke 'amal meñ kuchh bhī nahīñ
jo bhī nā'ra hai ishtihār meñ hai
tū ne baḳhshā ye martaba ye maqām
varna 'e'jāz' kis shumār meñ hai
maut har lamha intizar mein hai
zindagi aaj bhi udhaar mein hai
sari duniya se dushmani le li
kitni jurat hamare pyar mein hai
shaKH-dar-shaKH ek udasi si
aur ye zulm bhi bahaar mein hai
rahbaron ke 'amal mein kuchh bhi nahin
jo bhi na'ra hai ishtihaar mein hai
tu ne baKHsha ye martaba ye maqam
warna 'e'jaz' kis shumar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.