maut hi DhunDh lun bahane se
maut hī DhūñDh luuñ bahāne se
peT bhartā nahīñ kamāne se
maan letā huuñ Thaan letā huuñ
chuuk jaatā huuñ par nishāne se
tum ne karnā thā jo vo kar hī liyā
farq kyā paḌtā hai batāne se
us kā chehra vahāñ se haTtā na.iiñ
us kī tasvīr ke haTāne se
vo jo rishta bharam ne rakkhā hai
TuuT jā.egā āzmāne se
maut hi DhunDh lun bahane se
peT bharta nahin kamane se
man leta hun Than leta hun
chuk jata hun par nishane se
tum ne karna tha jo wo kar hi liya
farq kya paDta hai batane se
us ka chehra wahan se haTta nain
us ki taswir ke haTane se
wo jo rishta bharam ne rakkha hai
TuT jaega aazmane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.