maut insan ke jine ka badal hoti hai
maut insān ke jiine kā badal hotī hai
zindagānī meñ hī poshīda ajal hotī hai
ai mire kātib-e-taqdīr zarā ye to batā
terī tahrīr bhī kyā radd-o-badal hotī hai
tum agar chāho to vo ḳhuun bhī de saktā hai
ek mazlūm kī har baat aTal hotī hai
sher-goī kī aziyyat bhī aziyyat hai ajiib
quvvat-e-fikr har ik sher pe shal hotī hai
ḳhuun jaltā hai mire jism kā pahle 'ātish'
tab kahīñ jā ke mirī ek ġhazal hotī hai
maut insan ke jine ka badal hoti hai
zindagani mein hi poshida ajal hoti hai
ai mere katib-e-taqdir zara ye to bata
teri tahrir bhi kya radd-o-badal hoti hai
tum agar chaho to wo KHun bhi de sakta hai
ek mazlum ki har baat aTal hoti hai
sher-goi ki aziyyat bhi aziyyat hai ajib
quwwat-e-fikr har ek sher pe shal hoti hai
KHun jalta hai mere jism ka pahle 'atish'
tab kahin ja ke meri ek ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.