maut jada hai maut manzil hai
maut jaada hai maut manzil hai
maut hī zindagī kā hāsil hai
ġham ke aalam meñ muskurā denā
mujh ko āsāñ hai tum ko mushkil hai
us ko ḳhatra hai Duub jaane kā
jis kī kashtī qarīb-e-sāhil hai
merā kirdār merā tarz-e-amal
merī mahrūmiyoñ meñ shāmil hai
maut aatī hai is tarah bhī 'la.īq'
koī maqtūl hai na qātil hai
maut jada hai maut manzil hai
maut hi zindagi ka hasil hai
gham ke aalam mein muskura dena
mujh ko aasan hai tum ko mushkil hai
us ko KHatra hai Dub jaane ka
jis ki kashti qarib-e-sahil hai
mera kirdar mera tarz-e-amal
meri mahrumiyon mein shamil hai
maut aati hai is tarah bhi 'laiq'
koi maqtul hai na qatil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.