maut jab mere nazdik aane lagi
maut jab mere nazdīk aane lagī
zindagī phir mujhe kyoñ lubhāne lagī
ek tū kyā gayā hai jahāñ se mire
jo bhī thī aarzū sab Thikāne lagī
ḳhvāb meñ bhī bichhaḌne lage mujh se tum
niiñd bhī aa ke mujh ko Darāne lagī
tū to apnī thī merī tujhe kyā huā
zindagī tū bhī ab āzmāne lagī
dhuup par maiñ koī tabsira kyā karūñ
chhāñv bhī ab to mujh ko jalāne lagī
jab bhī tanhā.iyāñ mujh pe haavī huī
lafz kāġhaz pe phir se sajāne lagī
zindagī bhar koī saath detā nahīñ
maiñ 'siyā' ḳhud ko yuuñ varġhalāne lagī
maut jab mere nazdik aane lagi
zindagi phir mujhe kyon lubhane lagi
ek tu kya gaya hai jahan se mere
jo bhi thi aarzu sab Thikane lagi
KHwab mein bhi bichhaDne lage mujh se tum
nind bhi aa ke mujh ko Darane lagi
tu to apni thi meri tujhe kya hua
zindagi tu bhi ab aazmane lagi
dhup par main koi tabsira kya karun
chhanw bhi ab to mujh ko jalane lagi
jab bhi tanhaiyan mujh pe hawi hui
lafz kaghaz pe phir se sajaane lagi
zindagi bhar koi sath deta nahin
main 'siya' KHud ko yun warghalane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.