maut ka dar hua hai mujh par baz
maut kā dar huā hai mujh par baaz
zindagī bas ki terī 'umr darāz
mujh ko merī bahut zarūrat hai
kar rahā huuñ maiñ ḳhud ko pas-andāz
dil dhaḌaktā hai thartharātā huuñ
mere andar na koī soz na saaz
apnī miTTī pe maar sajda-e-‘ishq
kho ga.ī hai jo terī jā-e-namāz
shor ḳhāmoshiyoñ kā sunte hue
ḳhuub zaḳhmī huī mirī āvāz
maut ka dar hua hai mujh par baz
zindagi bas ki teri 'umr daraaz
mujh ko meri bahut zarurat hai
kar raha hun main KHud ko pas-andaz
dil dhaDakta hai thartharaata hun
mere andar na koi soz na saz
apni miTTi pe mar sajda-e-‘ishq
kho gai hai jo teri ja-e-namaz
shor KHamoshiyon ka sunte hue
KHub zaKHmi hui meri aawaz
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 110)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 112)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.