maut ka falsafa nahin hota
maut kā falsafa nahīñ hotā
kaun hai jo fanā nahīñ hotā
lab se tum ne jo kuchh kahā hotā
darmiyāñ fāsla nahīñ hotā
'ishq hotā akelā duniyā meñ
husn se jo milā nahīñ hotā
tum bhī iz.hār kar ke dekho to
'ishq meñ qā.eda nahīñ hotā
jo rag-e-jāñ meñ bas gayā hai vo
dil se aksar judā nahīñ hotā
'shād' mumkin nahīñ batā.eñ kyā
'ishq kā zā.icha nahīñ hotā
maut ka falsafa nahin hota
kaun hai jo fana nahin hota
lab se tum ne jo kuchh kaha hota
darmiyan fasla nahin hota
'ishq hota akela duniya mein
husn se jo mila nahin hota
tum bhi izhaar kar ke dekho to
'ishq mein qaeda nahin hota
jo rag-e-jaan mein bas gaya hai wo
dil se aksar juda nahin hota
'shad' mumkin nahin bataen kya
'ishq ka zaicha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.