maut ke hathon to mera ye badan mar jaega
maut ke hāthoñ to merā ye badan mar jā.egā
maiñ magar us din marūñgā jab ye man mar jā.egā
sar-nigūñ haiñ sūliyāñ mere lahū ke sāmne
tum samajhte the ki merā bāñkpan mar jā.egā
sarhadī paTTī pe us kī laash pahchānegā kaun
jo vatan kī sar-zamīñ par be-vatan mar jā.egā
merī qurbānī zarūrī hai agar zinda rahā
jaan dene kā salīqa aur fan mar jā.egā
chāñd maarī kījiye lekin gulāboñ par nahīñ
aaj to ḳhushbū maregī kal chaman mar jā.egā
dekh lījegā anāḌī bāġhbāñ ke haath se
khurpiyoñ ke zaḳhm khā khā kar chaman mar jā.egā
duur āñkhoñ se na jā ab ai sarāb-e-zindagī
dard ke sahrā meñ aashā kā hiran mar jā.egā
rāj-naitik baniye gar DanDī yuuñ hī maarā kiye
har adālat meñ tarāzū kā chalan mar jā.egā
dījiye tahzīb ko taaza havā varna habīb
'mīr' ke ash.ār 'mīrā' kā bhajan mar jā.egā
barq se 'panchhī' nasheman ko bachāne ke liye
ek Thokar maar dūñgā to gagan mar jā.egā
maut ke hathon to mera ye badan mar jaega
main magar us din marunga jab ye man mar jaega
sar-nigun hain suliyan mere lahu ke samne
tum samajhte the ki mera bankpan mar jaega
sarhadi paTTi pe us ki lash pahchanega kaun
jo watan ki sar-zamin par be-watan mar jaega
meri qurbani zaruri hai agar zinda raha
jaan dene ka saliqa aur fan mar jaega
chand mari kijiye lekin gulabon par nahin
aaj to KHushbu maregi kal chaman mar jaega
dekh lijega anaDi baghban ke hath se
khurpiyon ke zaKHm kha kha kar chaman mar jaega
dur aankhon se na ja ab ai sarab-e-zindagi
dard ke sahra mein aasha ka hiran mar jaega
raj-naitik baniye gar DanDi yun hi mara kiye
har adalat mein taraazu ka chalan mar jaega
dijiye tahzib ko taza hawa warna habib
'mir' ke ashaar 'mira' ka bhajan mar jaega
barq se 'panchhi' nasheman ko bachane ke liye
ek Thokar mar dunga to gagan mar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.