maut ke jhule se bahar aa gai
maut ke jhūle se bāhar aa ga.ī
maiñ kisī rishte se bāhar aa ga.ī
rafta-rafta dard-e-dil ghaTtā gayā
laash ḳhud malbe se bāhar aa ga.ī
maut ke kas kar gale ham kyā lage
zindagī ḳhatre se bāhar aa ga.ī
lab chhupāte hī rahe sab se jise
baat vo lahje se bāhar aa ga.ī
oḌh kar baiThe the ham sanjīdgī
par hañsī dhoke se bāhar aa ga.ī
dekhne vaale tamāshā ban ga.e
dāstāñ parde se bāhar aa ga.ī
mere hisse meñ thī duniyā aur maiñ
apne hī hisse se bāhar aa ga.ī
bas vo mujh ko qaid karne vaalā thā
aur maiñ sapne se bāhar aa ga.ī
maut ke jhule se bahar aa gai
main kisi rishte se bahar aa gai
rafta-rafta dard-e-dil ghaTta gaya
lash KHud malbe se bahar aa gai
maut ke kas kar gale hum kya lage
zindagi KHatre se bahar aa gai
lab chhupate hi rahe sab se jise
baat wo lahje se bahar aa gai
oDh kar baiThe the hum sanjidgi
par hansi dhoke se bahar aa gai
dekhne wale tamasha ban gae
dastan parde se bahar aa gai
mere hisse mein thi duniya aur main
apne hi hisse se bahar aa gai
bas wo mujh ko qaid karne wala tha
aur main sapne se bahar aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.