maut sar pe mere khaDi hogi
maut sar pe mire khaḌī hogī
ziist se tab bhī dostī hogī
is vabā ne ujaaḌ diiñ nasleñ
aadmī kī ḳhatā baḌī hogī
darmiyān-e-safar yahī sochā
maañ mirī dar pe hī khaḌī hogī
maut duniyā ko bāñTtā hai jo
zindagī kyā use milī hogī
sabr ko mere āzmātā hai
mere dushman ne kuchh to pī hogī
qaid meñ aadmī kā īmāñ hai
'umr kaise guzar rahī hogī
maut sar pe mere khaDi hogi
zist se tab bhi dosti hogi
is waba ne ujaD din naslen
aadmi ki KHata baDi hogi
darmiyan-e-safar yahi socha
man meri dar pe hi khaDi hogi
maut duniya ko banTta hai jo
zindagi kya use mili hogi
sabr ko mere aazmata hai
mere dushman ne kuchh to pi hogi
qaid mein aadmi ka iman hai
'umr kaise guzar rahi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.