maut se to be-KHabar hai zindagi
maut se to be-ḳhabar hai zindagī
ḳhvāhishoñ kā ik nagar hai zindagī
maut raqsāñ ek hī dar pe magar
bain kartī dar-ba-dar hai zindagī
gar mavaddat hai jo ahl-e-bait se
jāvedāñ hai be-zarar hai zindagī
chhoḌ kar jab se gayā hai vo mujhe
DhūñDhtā huuñ maiñ kidhar hai zindagī
kuchh gire haiñ paat kuchh phūTe na.e
maut kī har shāḳh par hai zindagī
be-ruḳhī se baat karnā maut hai
ḳhidmat-e-mādar-pidar hai zindagī
yā-nabī salle-alā kahte raho
mid.hat-e-ḳhairul-bashar hai zindagī
maut se to be-KHabar hai zindagi
KHwahishon ka ek nagar hai zindagi
maut raqsan ek hi dar pe magar
bain karti dar-ba-dar hai zindagi
gar mawaddat hai jo ahl-e-bait se
jawedan hai be-zarar hai zindagi
chhoD kar jab se gaya hai wo mujhe
DhunDhta hun main kidhar hai zindagi
kuchh gire hain pat kuchh phuTe nae
maut ki har shaKH par hai zindagi
be-ruKHi se baat karna maut hai
KHidmat-e-madar-pidar hai zindagi
ya-nabi salle-ala kahte raho
midhat-e-KHairul-bashar hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.