maut sirf is liye gawara hai
maut sirf is liye gavārā hai
zindagī kī taraf ishāra hai
rāhat-e-ġham na raas aa.ī mujhe
jab se ehsās-e-ġham ne maarā hai
zindagī bhī aziiz hai lekin
terā ġham zindagī se pyārā hai
dil ko ummīd ne Duboyā thā
tark-e-ummīd ne ubhārā hai
zindagī kā kuchh e.atibār nahīñ
zindagī sub.h kā sitārā hai
jo Thahar jaa.e un ke jalvoñ par
vo nazar ḳhud bhī ik nazārā hai
talḳhī-e-ġham burī balā hai magar
talḳhī-e-ġham mujhe gavārā hai
vaqt kī dhaḌkanoñ kā raaz 'atīq'
mere sheroñ se āshkārā hai
maut sirf is liye gawara hai
zindagi ki taraf ishaara hai
rahat-e-gham na ras aai mujhe
jab se ehsas-e-gham ne mara hai
zindagi bhi aziz hai lekin
tera gham zindagi se pyara hai
dil ko ummid ne Duboya tha
tark-e-ummid ne ubhaara hai
zindagi ka kuchh eatibar nahin
zindagi subh ka sitara hai
jo Thahar jae un ke jalwon par
wo nazar KHud bhi ek nazara hai
talKHi-e-gham buri bala hai magar
talKHi-e-gham mujhe gawara hai
waqt ki dhaDkanon ka raaz 'atiq'
mere sheron se aashkara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.