maza deta hai yaad aa kar tera bismil bana dena
maza deta hai yaad aa kar tera bismil bana dena
Anwari Jahan Begum Hijab
MORE BYAnwari Jahan Begum Hijab
maza detā hai yaad aa kar tirā bismil banā denā
lagā denā zarā tīr-e-nazar haañ phir lagā denā
vo merā be-ḳhudī meñ us ke muñh se muñh milā denā
qayāmat ek chup kā phir vo donoñ ko sazā denā
adā-e-sharm ho ḳhalvat meñ yā andāz shoḳhī ke
tire har naaz par ham ko to jaañ ai dilrubā denā
hamārā ārzū-e-bosa karnā tujh se dar-parda
tirā dushnām denā aur kyā kyā barmalā denā
sifārish ham-damoñ kī un kā jaate vaqt ye kahnā
ki jab taḌpe mirī tasvīr siine se lagā denā
na hone paa.e vāqif lazzat-e-ta.azīr se dushman
mazāhir chand ho us kī magar ham ko sazā denā
udhar us lab se niklā shoḳh chitvan ko na denā dil
udhar chashm-e-suḳhan-go ne ishāroñ meñ kahā denā
laboñ se lab milā leñ vasl meñ siine se yā siina
magar mumkin nahīñ us but ke dil se dil milā denā
agar ahd-e-vafā se tū bhī phir jaa.e mohabbat meñ
'hijāb' us shoḳh ko mālūm ho jaa.e daġhā denā
maza deta hai yaad aa kar tera bismil bana dena
laga dena zara tir-e-nazar han phir laga dena
wo mera be-KHudi mein us ke munh se munh mila dena
qayamat ek chup ka phir wo donon ko saza dena
ada-e-sharm ho KHalwat mein ya andaz shoKHi ke
tere har naz par hum ko to jaan ai dilruba dena
hamara aarzu-e-bosa karna tujh se dar-parda
tera dushnam dena aur kya kya barmala dena
sifarish ham-damon ki un ka jate waqt ye kahna
ki jab taDpe meri taswir sine se laga dena
na hone pae waqif lazzat-e-tazir se dushman
mazahir chand ho us ki magar hum ko saza dena
udhar us lab se nikla shoKH chitwan ko na dena dil
udhar chashm-e-suKHan-go ne ishaaron mein kaha dena
labon se lab mila len wasl mein sine se ya sina
magar mumkin nahin us but ke dil se dil mila dena
agar ahd-e-wafa se tu bhi phir jae mohabbat mein
'hijab' us shoKH ko malum ho jae dagha dena
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 118)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.