maza visal ka kya gar firaq-e-yar na ho
maza visāl kā kyā gar firāq-e-yār na ho
nahīñ hai nashe kī kuchh qadr agar ḳhumār na ho
na ro.e tā koī āshiq ye hukm hai us kā
ki sham.a bhī mirī mahfil meñ ashk-bār na ho
jo hichkī aa.ī to ḳhush maiñ huā ki maut aa.ī
kisī ko yaar kā itnā bhī intizār na ho
zaqan hai seb to unnāb hai lab-e-shīrīñ
nahīñ hai sarv vo ḳhush-qad jo meva-dār na ho
vo huuñ maiñ morid-e-nafrat ki darkinār hai yaar
pa.e fishār kabhī gor ham-kanār na ho
na aa.e kunj-e-lahad meñ bhī mujh ko ḳhvāb-e-adam
agar sirhāne koī ḳhisht-e-kū-e-yār na ho
ba-rañg-e-husn-e-butāñ hai dil-e-shagufta mirā
jo is chaman meñ ḳhizāñ ho to phir bahār na ho
ga.ī hai kaisī zamāne se rasm-e-sar-garmī
ajab nahīñ hai jo patthar meñ bhī sharār na ho
na hañsne se kabhī hamrāz posh vāqif hoñ
ba-rañg-e-ġhuncha jigar jab talak figār na ho
tirī mizha kī jo tashbīh us se tark kareñ
kisī ke tiir se koī kabhī figār na ho
dam-e-aḳhīr to kar leñ nazāra jī bhar ke
ilāhī ḳhanjar-e-saffāk āb-dār na ho
yahī hai qulzum-e-ġham meñ mirī duā yārab
qayām is meñ koī bhī habāb-dār na ho
vo sub.h sīna-e-sad-chāk meñ hai dāġh-e-junūñ
ki jis se dīda-e-ḳhurshed bhī do-chār na ho
havas uruuj kī le jaa.eñ gar ye duniyā se
kabhī buland havā se koī ġhubār na ho
kamāl-e-sūrat-e-be-dard se tanaffur hai
na dekheñ ham kabhī us gul ko jis meñ ḳhaar na ho
hazāroñ gor kī rāteñ haiñ kāTnī 'nāsiḳh'
abhī to roz-e-siyah meñ tū be-qarār na ho
maza visal ka kya gar firaq-e-yar na ho
nahin hai nashe ki kuchh qadr agar KHumar na ho
na roe ta koi aashiq ye hukm hai us ka
ki shama bhi meri mahfil mein ashk-bar na ho
jo hichki aai to KHush main hua ki maut aai
kisi ko yar ka itna bhi intizar na ho
zaqan hai seb to unnab hai lab-e-shirin
nahin hai sarw wo KHush-qad jo mewa-dar na ho
wo hun main morid-e-nafrat ki darkinar hai yar
pae fishaar kabhi gor ham-kanar na ho
na aae kunj-e-lahad mein bhi mujh ko KHwab-e-adam
agar sirhane koi KHisht-e-ku-e-yar na ho
ba-rang-e-husn-e-butan hai dil-e-shagufta mera
jo is chaman mein KHizan ho to phir bahaar na ho
gai hai kaisi zamane se rasm-e-sar-garmi
ajab nahin hai jo patthar mein bhi sharar na ho
na hansne se kabhi hamraaz posh waqif hon
ba-rang-e-ghuncha jigar jab talak figar na ho
teri mizha ki jo tashbih us se tark karen
kisi ke tir se koi kabhi figar na ho
dam-e-aKHir to kar len nazara ji bhar ke
ilahi KHanjar-e-saffak aab-dar na ho
yahi hai qulzum-e-gham mein meri dua yarab
qayam is mein koi bhi habab-dar na ho
wo subh sina-e-sad-chaak mein hai dagh-e-junun
ki jis se dida-e-KHurshed bhi do-chaar na ho
hawas uruj ki le jaen gar ye duniya se
kabhi buland hawa se koi ghubar na ho
kamal-e-surat-e-be-dard se tanaffur hai
na dekhen hum kabhi us gul ko jis mein KHar na ho
hazaron gor ki raaten hain kaTni 'nasiKH'
abhi to roz-e-siyah mein tu be-qarar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.