baat phulon ki suna karte the
baat phūloñ kī sunā karte the
ham kabhī sher kahā karte the
mish.aleñ le ke tumhāre ġham kī
ham añdheroñ meñ chalā karte the
ab kahāñ aisī tabī.at vaale
choT khā kar jo duā karte the
tark-e-ehsās-e-mohabbat mushkil
haañ magar ahl-e-vafā karte the
bikhrī bikhrī huī zulfoñ vaale
qāfile rok liyā karte the
aaj gulshan meñ shagūfe 'sāġhar'
shikva-e-bād-e-sabā karte the
baat phulon ki suna karte the
hum kabhi sher kaha karte the
mishalen le ke tumhaare gham ki
hum andheron mein chala karte the
ab kahan aisi tabiat wale
choT kha kar jo dua karte the
tark-e-ehsas-e-mohabbat mushkil
han magar ahl-e-wafa karte the
bikhri bikhri hui zulfon wale
qafile rok liya karte the
aaj gulshan mein shagufe 'saghar'
shikwa-e-baad-e-saba karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.