mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai
mazīd ik baar par bār-e-girāñ rakkhā gayā hai
zamīñ jo tere upar āsmāñ rakkhā gayā hai
kabhī tū chīḳh kar āvāz de to jaan jā.ūñ
mire zindān meñ tujh ko kahāñ rakkhā gayā hai
mirī nīñdoñ meñ rahtī hai sadā tishna-dahānī
mire ḳhvāboñ meñ ik dariyā ravāñ rakkhā gayā hai
havā ke saath phūloñ se nikalne kī sazā meñ
bhaTaktī ḳhushbuoñ ko be-amāñ rakkhā gayā hai
magar ye dil bahaltā hī nahīñ go is ke aage
tumhāre baa'd ye saarā jahāñ rakkhā gayā hai
mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai
zamin jo tere upar aasman rakkha gaya hai
kabhi tu chiKH kar aawaz de to jaan jaun
mere zindan mein tujh ko kahan rakkha gaya hai
meri nindon mein rahti hai sada tishna-dahani
mere KHwabon mein ek dariya rawan rakkha gaya hai
hawa ke sath phulon se nikalne ki saza mein
bhaTakti KHushbuon ko be-aman rakkha gaya hai
magar ye dil bahalta hi nahin go is ke aage
tumhaare ba'd ye sara jahan rakkha gaya hai
- Book : NAQSH-E-PA HAWAON KE (Pg. 51)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.