mazid kuchh nahin bola main ho gaya KHamosh
mazīd kuchh nahīñ bolā maiñ ho gayā ḳhāmosh
is ehtimām se us ne mujhe kahā ḳhāmosh
ab aise haal meñ kyā ḳhaak guftugū hogī
ki ek soch meñ gum hai to dūsrā ḳhāmosh
so yuuñ huā ki lagā qufl nutq-o-lab pe mire
maiñ tum se mil ke bahut der tak rahā ḳhāmosh
jab ehtimām se rauñdā gayā vajūd mirā
to sāmne vo khaḌā thā gurez-pā ḳhāmosh
maiñ jāntā huuñ mirī sar-kashīdgī kā sabab
so mujh se baat na kar mere nāsehā ḳhāmosh
samā.atoñ meñ na.ī guuñj kis ne rakkhī hai
ki har taraf se uThī ek hī sadā ḳhāmosh
maiñ ek dasht-e-tamannā meñ niim zinda huuñ
havās-bāḳhta ghāyal barahna-pā ḳhāmosh
mazid kuchh nahin bola main ho gaya KHamosh
is ehtimam se us ne mujhe kaha KHamosh
ab aise haal mein kya KHak guftugu hogi
ki ek soch mein gum hai to dusra KHamosh
so yun hua ki laga qufl nutq-o-lab pe mere
main tum se mil ke bahut der tak raha KHamosh
jab ehtimam se raunda gaya wajud mera
to samne wo khaDa tha gurez-pa KHamosh
main jaanta hun meri sar-kashidgi ka sabab
so mujh se baat na kar mere naseha KHamosh
samaaton mein nai gunj kis ne rakkhi hai
ki har taraf se uThi ek hi sada KHamosh
main ek dasht-e-tamanna mein nim zinda hun
hawas-baKHta ghayal barahna-pa KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.