mearaj-e-irtiqa hai tamasha na jaaniye
me.arāj-e-irtiqā hai tamāshā na jāniye
tahzīb-e-asr-e-nau ko barahna na jāniye
ubhrā bahut pe lauh-e-samā.at se duur duur
harf-e-sadā ko ab ke kahīñ kā na jāniye
hone ko is safar meñ bahut rā.egāñ hue
lekin hameñ shikast kā nauha na jāniye
bas apnī hā-o-hū se hī raunaq hai chār-sū
vīrāniyoñ ko zīnat-e-sahrā na jāniye
tūfāñ kā naam sun ke laraztī to hai magar
dīvār-e-jism-o-jāñ ko shikasta na jāniye
mearaj-e-irtiqa hai tamasha na jaaniye
tahzib-e-asr-e-nau ko barahna na jaaniye
ubhra bahut pe lauh-e-samaat se dur dur
harf-e-sada ko ab ke kahin ka na jaaniye
hone ko is safar mein bahut raegan hue
lekin hamein shikast ka nauha na jaaniye
bas apni ha-o-hu se hi raunaq hai chaar-su
viraniyon ko zinat-e-sahra na jaaniye
tufan ka nam sun ke larazti to hai magar
diwar-e-jism-o-jaan ko shikasta na jaaniye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.