Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein

Shamim Jaipuri

ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein

Shamim Jaipuri

bā-vafā.ī adā paane lagā huuñ tujh meñ

ai jafā-dost ye kyā dekh rahā huuñ tujh meñ

ne ab tak mujhe kāñToñ ke sivā kuchh na diyā

maiñ to ik phuul mānind khilā huuñ tujh meñ

vo dariyā hai ki jis koī sāhil nahīñ

maiñ safīne tarah Duub gayā huuñ tujh meñ

merā da.avā hai ki ne bhī na dekhe hoñge

aise jalve ki jo maiñ dekh chukā huuñ tujh meñ

tujh se bichhḌe to zamāna huā lekin ab tak

yaad aatā hai ki kuchh bhuul gayā huuñ tujh meñ

tere chehre se haTā.ī nahīñ jātīñ nazreñ

kyā ḳhabar der se kyā dekh rahā huuñ tujh meñ

paas itnā ki tirī saañs se Takrātī hai saañs

duur itnā ki tujhe DhūñDh rahā huuñ tujh meñ

bevafā terī zabāñ par ye vafā bāteñ

aisā lagtā hai ki maiñ bol rahā huuñ tujh meñ

ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein

ai jafa-dost ye kya dekh raha hun tujh mein

tu ne ab tak mujhe kanTon ke siwa kuchh na diya

main to ek phul ki manind khila hun tujh mein

tu wo dariya hai ki jis ka koi sahil hi nahin

main safine ki tarah Dub gaya hun tujh mein

mera dawa hai ki tu ne bhi na dekhe honge

aise jalwe ki jo main dekh chuka hun tujh mein

tujh se bichhDe to zamana hua lekin ab tak

yaad aata hai ki kuchh bhul gaya hun tujh mein

tere chehre se haTai nahin jatin nazren

kya KHabar der se kya dekh raha hun tujh mein

pas itna ki teri sans se Takraati hai sans

dur itna ki tujhe DhunDh raha hun tujh mein

bewafa teri zaban par ye wafa ki baaten

aisa lagta hai ki main bol raha hun tujh mein

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Fahad Husain

ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein Fahad Husain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now