mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-e-afsurda hai
mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-e-afsurda hai
Meer Mohammadi Bedar
MORE BYMeer Mohammadi Bedar
mehr-e-ḳhūbāñ ḳhāna-afroz-e-dil-e-afsurda hai
sho'la āb-e-zindagānī-e-charāġh-e-murda hai
murġh-e-dil terī nigah kā ho chukā ab to shikār
jā kahāñ saktā hai yaañ se said-e-nāvak-ḳhurda hai
hai bahār-e-rañg-o-bū-e-tāza rū-e-ḳhasm-e-jāñ
sālim āfāt-e-havādis se gul-e-pazhmurda hai
jān-o-īmāñ dīn-o-dil jo thā bisāt apnā diyā
aur kyā chāhe hai tū mujh se jo ab āzurda hai
ai shah-e-iqlīm-e-ḳhūbī tā-sar-e-darvāza aa
nazr ko 'bedār' terī jāñ-ba-kaf-āvarda hai
mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-e-afsurda hai
sho'la aab-e-zindagani-e-charagh-e-murda hai
murgh-e-dil teri nigah ka ho chuka ab to shikar
ja kahan sakta hai yan se said-e-nawak-KHurda hai
hai bahaar-e-rang-o-bu-e-taza ru-e-KHasm-e-jaan
salim aafat-e-hawadis se gul-e-pazhmurda hai
jaan-o-iman din-o-dil jo tha bisat apna diya
aur kya chahe hai tu mujh se jo ab aazurda hai
ai shah-e-iqlim-e-KHubi ta-sar-e-darwaza aa
nazr ko 'bedar' teri jaan-ba-kaf-awarda hai
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.