mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt
mehrbāñ ho ke bulā lo mujhe chāho jis vaqt
maiñ gayā vaqt nahīñ huuñ ki phir aa bhī na sakūñ
being kind at any time you please, you can call out for me
for I am not like time once past, again can never be
zo.af meñ tāna-e-aġhyār kā shikva kyā hai
baat kuchh sar to nahīñ hai ki uThā bhī na sakūñ
of rival's taunts, in weakened state, why should complaints unfold
'tis merely talk and not my head which I cannot uphold
zahr miltā hī nahīñ mujh ko sitamgar varna
kyā qasam hai tire milne kī ki khā bhī na sakūñ
O tyrant, poison is not found, else for my sorrow's sake
is it a vow to never meet you that I cannot take?
is qadar zabt kahāñ hai kabhī aa bhī na sakūñ
sitam itnā to na kiije ki uThā bhī na sakūñ
lag ga.ī aag agar ghar ko to andesha kyā
sho.ala-e-dil to nahīñ hai ki bujhā bhī na sakūñ
tum na aaoge to marne kī haiñ sau tadbīreñ
maut kuchh tum to nahīñ ho ki bulā bhī na sakūñ
hañs ke bulvā.iye miT jā.egā sab dil kā gila
kyā tasavvur hai tumhārā ki miTā bhī na sakūñ
mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt
main gaya waqt nahin hun ki phir aa bhi na sakun
being kind at any time you please, you can call out for me
for I am not like time once past, again can never be
zoaf mein tana-e-aghyar ka shikwa kya hai
baat kuchh sar to nahin hai ki uTha bhi na sakun
of rival's taunts, in weakened state, why should complaints unfold
'tis merely talk and not my head which I cannot uphold
zahr milta hi nahin mujh ko sitamgar warna
kya qasam hai tere milne ki ki kha bhi na sakun
O tyrant, poison is not found, else for my sorrow's sake
is it a vow to never meet you that I cannot take?
is qadar zabt kahan hai kabhi aa bhi na sakun
sitam itna to na kije ki uTha bhi na sakun
lag gai aag agar ghar ko to andesha kya
shoala-e-dil to nahin hai ki bujha bhi na sakun
tum na aaoge to marne ki hain sau tadbiren
maut kuchh tum to nahin ho ki bula bhi na sakun
hans ke bulwaiye miT jaega sab dil ka gila
kya tasawwur hai tumhaara ki miTa bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.