mehrbani hai ayaadat ko jo aate hain magar
mehrbānī hai ayādat ko jo aate haiñ magar
kis tarah un se hamārā haal dekhā jā.egā
daftar-e-duniyā ulaT jā.egā bātil yak-qalam
zarra zarra sab kā aslī haal dekhā jā.egā
official a.amāl-nāma kī na hogī kuchh sanad
hashr meñ to nāma-e-a.amāl dekhā jā.egā
bach rahe tā.ūn se to ahl-e-ġhaflat bol uThe
ab to mohlat hai phir agle saal dekhā jā.egā
tah karo sāhab nasb-nāmī vo vaqt aayā hai ab
be-asar hogī sharāfat maal dekhā jā.egā
rakh qadam sābit na chhoḌ 'akbar' sirāt-e-mustaqīm
ḳhair chal jaane de un kī chaal dekhā jā.egā
mehrbani hai ayaadat ko jo aate hain magar
kis tarah un se hamara haal dekha jaega
daftar-e-duniya ulaT jaega baatil yak-qalam
zarra zarra sab ka asli haal dekha jaega
official aamal-nama ki na hogi kuchh sanad
hashr mein to nama-e-amal dekha jaega
bach rahe taun se to ahl-e-ghaflat bol uThe
ab to mohlat hai phir agle sal dekha jaega
tah karo sahab nasb-nami wo waqt aaya hai ab
be-asar hogi sharafat mal dekha jaega
rakh qadam sabit na chhoD 'akbar' siraat-e-mustaqim
KHair chal jaane de un ki chaal dekha jaega
- Book : Kulliyat-e-akbar (Pg. 18)
- Author : Sayed Akbar husain Akbar Allahabadi
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.