zara si baat pe nam-dida hua karte the
zarā sī baat pe nam-dīda huā karte the
ham bhī kyā sāda-o-pechīda huā karte the
'aks-bandī kī havas in meñ kahāñ se aa.ī
mehrbāñ haath to nādīda huā karte the
ab hameñ dekh ke lagtā to nahīñ hai lekin
ham kabhī us ke pasandīda huā karte the
tū ne kis mauj meñ ye haal kiyā hai apnā
log kyā kyā tire girvīda huā karte the
tujh se pahle bhī mire raaz the ik shaḳhs ke paas
farq itnā hai ki poshīda huā karte the
sāhib-ur-rā.e kahāñ itne baham the pahle
ye chunīda to bahut chīda huā karte the
un dinoñ itne vasā.il nahīñ hote the magar
phir bhī kuchh log jahāñ-dīda huā karte the
zara si baat pe nam-dida hua karte the
hum bhi kya sada-o-pechida hua karte the
'aks-bandi ki hawas in mein kahan se aai
mehrban hath to nadida hua karte the
ab hamein dekh ke lagta to nahin hai lekin
hum kabhi us ke pasandida hua karte the
tu ne kis mauj mein ye haal kiya hai apna
log kya kya tere girwida hua karte the
tujh se pahle bhi mere raaz the ek shaKHs ke pas
farq itna hai ki poshida hua karte the
sahib-ur-rae kahan itne baham the pahle
ye chunida to bahut chida hua karte the
un dinon itne wasail nahin hote the magar
phir bhi kuchh log jahan-dida hua karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.